Tuesday, August 3, 2010
Tuesday Special – Few Good ones (Part IV)
Aadatan tumney kiye vaadey,
Aadatan humney aitbaar kiya,
Teri raahon mei tanha ruk kar,
Humney apna hi intezar kiya….
Ek pal mei ek sadi ka maza hum se poochhiye
Do din ki zindagi ka maza hum se poochhiye
Bhooley hain rafta rafta unhey muddaton mei hum
Kishton mei khudkushi ka maza hum se poochhiye
Aaghazey aashiqi ka maza aap jaaniye
Anjaamey aashiqi ka maza humse poochhiye!!!!
Mera Dil bhi shauq se todo Ek tajurba aur sahi
Lakh Khiloney tod chukey ho Ek khilona aur sahi
Raat Hai ghaam ki aaj bugjhaado Jalta jua har ek chiragh
Dil Mei andhera ho hi chuka hai Ghar mei andhera aur sahi
Dam Hai nikalta ek aashiq ka..Bheeed hai aakar dekh tu Lo
Lakh Tamashey dekhey hongey Ek nazara aur sahi
Khanjar Le kar sochtey kyaa hoo Quatl kar daalo
Daag Hain sau daman pe tumhaarey Ek izafa aur sahi.....
Previous posts : Part I , Part II , Part III
Tuesday, July 20, 2010
Tuesday Special – Few Good ones (Part III)
Few more ...Hope you will like these !!!
Jo dard ke sehra mein akela bahut hai,
Us ke liye dewaar ka sayaa bhi bahut hai..
Dekha nahi tanhaai mein tum ne kabhi us ko,
Bichrey howey logon ko woh roya bhi bahut hai..
Ghaam ke andheron se bhala kasiey bachata,
Ek shaks jo terey hijar mein jaga bhi bahut hai..
Kahaan aa ke rukey theey raastey, kahaan moor tha usseyy bhool jaa
Joo mil gaya ussey yaad rakh, joo nahien mila ussey bhool jaa....
Woh terey naseeb ki baarishey, kisi aur Chhat pe baras gaayi
Dil-e-Bekhabbar meri baat suun, ussey bhool jaa..ussey bhool jaa..
Mei tu ghum thaa terey he khayal mei, Teri aass mein, terey gumaan mei
Saba keh gayi merey kaan mei, merey paas aa ussey bhool jaa....
Kisey ke aankh mei Nahi Ashq-e-Gham, terey baad bhi kuch nahi hai
kam
Tujhey zindagi ney bhulaa diya, Tu bhi muskuraa ussey bhool Jaa.....
Naa woh aankh he teri aankh thi, Naa woh khawaab he tera Khawaab thaa
Dil-e-Muntazir tu yeh kis liye tera jaagnaa, ussey bhool jaa, usey bhool jaa...
Yeh jo raat din ka hai khel saa, Ussey dekh us pe yakeen naa kar
Nahien aks koi bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussey bhool Jaa..Ussey bhool jaa...
Joo Bisaat-e-Jaan he ulatt Gaya, Woh joo raastey mein he palatt gaya
Ussey rookney sey husool kya, Ussey mat bulaa...ussey bhool Jaa!!!!!!!
Daag duniyaa ne diye, Zaakhm zamaaney se miley
Hum ko yeh tohfey tumsey dil laganey pe miley
Hum tarastey he, tarastey he, taraste rahey
Woh falaaney se, falaaney se, falaaney se miley
Khud sey mil jaatey tu chaahat ka bharam reh jaataa
Kyaa miley aap jo logon ke milaaney se miley!!!!!!!!
Previous posts : Part I , Part II
Tuesday, July 13, 2010
Tuesday Special – Few Good ones (Part II)
Yes!! I am back again with few more from my collection...
Ek naam kya likha tera saahil ki reet par
phir umar bhar haawaon se meri dushmani rahi..
Tum mujhey bhool jaao yeh haq hai tumko
Meri baat aur hai mainey to mohabbat ki hai..
Lamha lamha kiya intezar jis lamhey ka
Who Lamha aaya to bhi ek lamhey ki liya...
Takdeer bananey waley tuney kaami na ki
Ab kis ko kya mila yeh mukkader ki baat hai….
Dil naumeed tu nahi, naakaam he to hai
Lambi hai shaam-e-gham, magar shaam he to hai !!!
Apney gham ko sharabon mein duboney chala tha
kya khabar thee ke Janab ko tairna aata hai!!
And one of my fav !!!
Aadmi ke khwaaishon ke intehaa nahi hoti...
Do gaaz zameen bhi chahiye, do gaaz kaafan ke baad!!!!
Previous Post : Tuesday Special